Teri AankhoN ke Kinaare
Teri aankhoN ke kinaare
Apne sapnoN ki kashti chhod aaya hooN
Toone dil se beghar kiyaa
Mai apni basaayi basti chhod aaya hooN
Teri aankhoN ke kinaare
Apne sapnoN ki kashti chhod aaya hooN
Toone dil se beghar kiyaa
Mai apni basaayi basti chhod aaya hooN
Guzre puraane lamhe chune
YaadoN ko chamakdaar kiyaa
Ek umra guzaari hai aise
YouN teraa intzaar kiyaa
Jin ke afsaane badhhaa chadhaa ke
Sab ko sunaaye jaate haiN
Hum hi haiN jo maikhnaane se
Aakhir meiN uthhaye jaate haiN
Bahut mushkil, hai bach paana
NigaahoN ke nishaane se
Yeh aksar karti haiN ghaayal
Milne ke, bahaane se
Mujhe milaakar, meri har cheez, badal chuki hai
Nahi badle, to mere khwaan, wo ab bhi wahi haiN
Samay ke pahar, aapas meiN is kadar, ghul mil gaye haiN
Ke aankheiN ab, raushani ke, badalte manzar meiN,
Farq nahi kar paati
Palkon ki shaaakhoN par har subahaa
Naye phooloN ki bahaar hoti hai
AankheiN inhi guloN se khushboo lekar
SapnoN ko mahkaa ke akh deti haiN
Wo Kuchh kahe to, aankheiN muskuraati haiN
Aankh boleiN to hothhoN ko hasieN aati hai
Badaa hi uljha uljha hai
Jo ye andaaz-e-bayaaN hai
Taqdeer ki likhawaat bhi,
Charagar jaisi hoti hai
Achchaa hi likhaa hotaa hai
Bas samajh kuchh nahiN aataa
Chaand ke pyaale meiN
Raat ki shabnam hai
Dekho na chhalke
Vaise hi bahut kam hai