अभी उलझा हूँ दिल के पुर्ज़े सम्भालने में
मगर हर पत्थर का जवाब मै दूँगा ज़रूर
SAd Poetry
Teri AankhoN ke Kinaare
Teri aankhoN ke kinaare
Apne sapnoN ki kashti chhod aaya hooN
Toone dil se beghar kiyaa
Mai apni basaayi basti chhod aaya hooN
Samay Ke Pahar
Samay ke pahar, aapas meiN is kadar, ghul mil gaye haiN
Ke aankheiN ab, raushani ke, badalte manzar meiN,
Farq nahi kar paati
Hawaa se haar kar
Hawaa se haar kar
Bikhre gulaaboN ki tarahaa
Ye aarzoo bhi dhhal jaayegi
Doosre khwaaboN ki tarahaa
Band DarwaazoN Ke
Band darwaazoN ke peechhe se
Hum bhi rote haiN chupke se
Aa Chukaa Hoon Mai
आख़िरी अश्क़ कल शब बहा चुका हूँ मैदामन की नमी को अब सुखा चुका हूँ मैअब हर सितम के बदले, फ़क़त यलगार होगाकह दो दुनिया-ए-फ़ानी से, आ चुका हूँ मै