Ye jo kuchh log
ये जो कुछ लोग जाने अनजाने गुज़र गये हैंइनके साथ ज़माने के ज़माने गुज़र गये हैं Yeh jo kuchh log, jaane anjaane guzar gaye haiNInke saath zamaane ke zamaane guzar gaye haiN
ये जो कुछ लोग जाने अनजाने गुज़र गये हैंइनके साथ ज़माने के ज़माने गुज़र गये हैं Yeh jo kuchh log, jaane anjaane guzar gaye haiNInke saath zamaane ke zamaane guzar gaye haiN
Guzre puraane lamhe chune
YaadoN ko chamakdaar kiyaa
Ek umra guzaari hai aise
YouN teraa intzaar kiyaa
Bahut mushkil, hai bach paana
NigaahoN ke nishaane se
Yeh aksar karti haiN ghaayal
Milne ke, bahaane se
Mujhe milaakar, meri har cheez, badal chuki hai
Nahi badle, to mere khwaan, wo ab bhi wahi haiN
Taqdeer ki likhawaat bhi,
Charagar jaisi hoti hai
Achchaa hi likhaa hotaa hai
Bas samajh kuchh nahiN aataa
Wo ruki-ruki si sardiyoN ki fizaa
Wo aankhoN ko kohra sa lagta hua
Wo tum jaisa koi simat ke guzarta hua
aur mujh jaisa koi, apne haath malta hua
आख़िरी अश्क़ कल शब बहा चुका हूँ मैदामन की नमी को अब सुखा चुका हूँ मैअब हर सितम के बदले, फ़क़त यलगार होगाकह दो दुनिया-ए-फ़ानी से, आ चुका हूँ मै
Prashant V Shrivastava (Musafir) NigaahoN ke Nishaane se Bahut mushkil, hai bach paana nigaahoN ke, nishaane se Ye aksar karti haiN ghaayal milne ke, bahaane se बहुत मुश्किल, है बच पाना, निगाहों के, निशाने से ये अक्सर, करती हैं घायल, मिलने के, बहाने से