Ye jo kuchh log
ये जो कुछ लोग जाने अनजाने गुज़र गये हैंइनके साथ ज़माने के ज़माने गुज़र गये हैं Yeh jo kuchh log, jaane anjaane guzar gaye haiNInke saath zamaane ke zamaane guzar gaye haiN
GaoN Ki GaliyaaN Prashant V Shrivastava
सुबहों को ओस देखिए
रातों को जुगनू ढूँढिये
शहर से छुट्टी लेकर कभी
गाँवों की गलियाँ पूछिए
Teri AankhoN ke Kinaare
Teri aankhoN ke kinaare
Apne sapnoN ki kashti chhod aaya hooN
Toone dil se beghar kiyaa
Mai apni basaayi basti chhod aaya hooN
Guzre Puraane Lamhe
Guzre puraane lamhe chune
YaadoN ko chamakdaar kiyaa
Ek umra guzaari hai aise
YouN teraa intzaar kiyaa
Jinke Afsaane
Jin ke afsaane badhhaa chadhaa ke
Sab ko sunaaye jaate haiN
Hum hi haiN jo maikhnaane se
Aakhir meiN uthhaye jaate haiN
NigaahoN ke Nishaane se
Bahut mushkil, hai bach paana
NigaahoN ke nishaane se
Yeh aksar karti haiN ghaayal
Milne ke, bahaane se
Mere Khwaab
Mujhe milaakar, meri har cheez, badal chuki hai
Nahi badle, to mere khwaan, wo ab bhi wahi haiN
Samay Ke Pahar
Samay ke pahar, aapas meiN is kadar, ghul mil gaye haiN
Ke aankheiN ab, raushani ke, badalte manzar meiN,
Farq nahi kar paati
PalkoN Ki ShaakhoN Pe
Palkon ki shaaakhoN par har subahaa
Naye phooloN ki bahaar hoti hai
AankheiN inhi guloN se khushboo lekar
SapnoN ko mahkaa ke akh deti haiN