Jinke Afsaane
Jin ke afsaane badhhaa chadhaa ke
Sab ko sunaaye jaate haiN
Hum hi haiN jo maikhnaane se
Aakhir meiN uthhaye jaate haiN
Jin ke afsaane badhhaa chadhaa ke
Sab ko sunaaye jaate haiN
Hum hi haiN jo maikhnaane se
Aakhir meiN uthhaye jaate haiN
Bahut mushkil, hai bach paana
NigaahoN ke nishaane se
Yeh aksar karti haiN ghaayal
Milne ke, bahaane se
Samay ke pahar, aapas meiN is kadar, ghul mil gaye haiN
Ke aankheiN ab, raushani ke, badalte manzar meiN,
Farq nahi kar paati
Wo Kuchh kahe to, aankheiN muskuraati haiN
Aankh boleiN to hothhoN ko hasieN aati hai
Badaa hi uljha uljha hai
Jo ye andaaz-e-bayaaN hai
Taqdeer ki likhawaat bhi,
Charagar jaisi hoti hai
Achchaa hi likhaa hotaa hai
Bas samajh kuchh nahiN aataa
Chaand ke pyaale meiN
Raat ki shabnam hai
Dekho na chhalke
Vaise hi bahut kam hai
Masla farq padne ka nahiN
Apni khuddaarii ka hai
Humne samandar se bhi dariyaaoN ko
Baahar nikalte dekhaa hai
Mile jule alfaaz meiN
Kahi gaii gazal koi
Tum jaisi hi hogi
KahiN tum hi to nahiN
Hawaa se haar kar
Bikhre gulaaboN ki tarahaa
Ye aarzoo bhi dhhal jaayegi
Doosre khwaaboN ki tarahaa