Andaaz – e BayaaN
Wo Kuchh kahe to, aankheiN muskuraati haiN
Aankh boleiN to hothhoN ko hasieN aati hai
Badaa hi uljha uljha hai
Jo ye andaaz-e-bayaaN hai
Wo Kuchh kahe to, aankheiN muskuraati haiN
Aankh boleiN to hothhoN ko hasieN aati hai
Badaa hi uljha uljha hai
Jo ye andaaz-e-bayaaN hai
Taqdeer ki likhawaat bhi,
Charagar jaisi hoti hai
Achchaa hi likhaa hotaa hai
Bas samajh kuchh nahiN aataa
Chaand ke pyaale meiN
Raat ki shabnam hai
Dekho na chhalke
Vaise hi bahut kam hai
ऐ दिल-ए-बेज़ार तेरी, शिकायतें फिर सुन लूँगा अभी तो ज़िंदगी वाले, मसले ही हल नहीं हुए Aye dil-e-bezaar teri ShikaayateiN fir sun loonga Abhi to zindagi waale Masle hi hal nahiN huye
प्यार में खोने का जो ख़ौफ़ होता हैजान फँसी रहती है, ये रोज़ होता है Pyaar mein khone ka jo khauf hota haiJaan fansi rahti hai, yeh roz hota hai
Masla farq padne ka nahiN
Apni khuddaarii ka hai
Humne samandar se bhi dariyaaoN ko
Baahar nikalte dekhaa hai
Mile jule alfaaz meiN
Kahi gaii gazal koi
Tum jaisi hi hogi
KahiN tum hi to nahiN
Hawaa se haar kar
Bikhre gulaaboN ki tarahaa
Ye aarzoo bhi dhhal jaayegi
Doosre khwaaboN ki tarahaa