Samay Ke Pahar
Samay ke pahar, aapas meiN is kadar, ghul mil gaye haiN
Ke aankheiN ab, raushani ke, badalte manzar meiN,
Farq nahi kar paati
Samay ke pahar, aapas meiN is kadar, ghul mil gaye haiN
Ke aankheiN ab, raushani ke, badalte manzar meiN,
Farq nahi kar paati
Palkon ki shaaakhoN par har subahaa
Naye phooloN ki bahaar hoti hai
AankheiN inhi guloN se khushboo lekar
SapnoN ko mahkaa ke akh deti haiN
Taqdeer ki likhawaat bhi,
Charagar jaisi hoti hai
Achchaa hi likhaa hotaa hai
Bas samajh kuchh nahiN aataa
Chaand ke pyaale meiN
Raat ki shabnam hai
Dekho na chhalke
Vaise hi bahut kam hai
प्यार में खोने का जो ख़ौफ़ होता हैजान फँसी रहती है, ये रोज़ होता है Pyaar mein khone ka jo khauf hota haiJaan fansi rahti hai, yeh roz hota hai
Masla farq padne ka nahiN
Apni khuddaarii ka hai
Humne samandar se bhi dariyaaoN ko
Baahar nikalte dekhaa hai
Mile jule alfaaz meiN
Kahi gaii gazal koi
Tum jaisi hi hogi
KahiN tum hi to nahiN
Hawaa se haar kar
Bikhre gulaaboN ki tarahaa
Ye aarzoo bhi dhhal jaayegi
Doosre khwaaboN ki tarahaa
Thak gayaa, tere, munsif ko, daleeleiN, dete huye aye zindagi
Gar Haalaat ke baahar, koi, sulah ka, raastaa, ho to bataa
Jo Ishq tum se ho gayaa hai
Ye kissa ek gunaah bhi hai
Ke chamakti huiN shaamoN ka
Kuchh hissa siyaah bhi hai