Pyaar meiN khone ka jo
प्यार में खोने का जो ख़ौफ़ होता हैजान फँसी रहती है, ये रोज़ होता है Pyaar mein khone ka jo khauf hota haiJaan fansi rahti hai, yeh roz hota hai
प्यार में खोने का जो ख़ौफ़ होता हैजान फँसी रहती है, ये रोज़ होता है Pyaar mein khone ka jo khauf hota haiJaan fansi rahti hai, yeh roz hota hai
Masla farq padne ka nahiN
Apni khuddaarii ka hai
Humne samandar se bhi dariyaaoN ko
Baahar nikalte dekhaa hai
Mile jule alfaaz meiN
Kahi gaii gazal koi
Tum jaisi hi hogi
KahiN tum hi to nahiN
Hawaa se haar kar
Bikhre gulaaboN ki tarahaa
Ye aarzoo bhi dhhal jaayegi
Doosre khwaaboN ki tarahaa
Thak gayaa, tere, munsif ko, daleeleiN, dete huye aye zindagi
Gar Haalaat ke baahar, koi, sulah ka, raastaa, ho to bataa
Jo Ishq tum se ho gayaa hai
Ye kissa ek gunaah bhi hai
Ke chamakti huiN shaamoN ka
Kuchh hissa siyaah bhi hai
Wo ruki-ruki si sardiyoN ki fizaa
Wo aankhoN ko kohra sa lagta hua
Wo tum jaisa koi simat ke guzarta hua
aur mujh jaisa koi, apne haath malta hua
Zaraa si baat thi, sun ke, bhulaa diya hotaWafaa ki raah pe kuchh to, silaa diyaa hota