HaiN gazal aankhein tumhaari
HaiN gazal aankhein tumhaari
shaayari si kar rahi hai
Shayarana har wo sheh hai
jo bhi inse guzar rahi hai
HaiN gazal aankhein tumhaari
shaayari si kar rahi hai
Shayarana har wo sheh hai
jo bhi inse guzar rahi hai
jaanta bhi hooN mai, aur hoon anjaan bhi
LaakhoN mein jo tujhe hi dekh paata hu main
Tumhaare ashq sabhi, peene ka shauq rakhte haiN
Ishq ke mausam mein, jeene ka shauq rakhte haiN
aashmaan ki chahat karte honge udte huve parinde
mein toe tere dil ke kone mein chup jana chahti hu
Tere khayaaloN kii raushni mein
mere saare andhere kho gaye
teri yaadoN kii zard dhoop se
Rang mere sunehre ho gaye
कोई नहीं था ‘देवी’ गर्दिश में मेरे साथ
बस मैं, मिरा मुक़द्दर और आसमान था.
Koi jahunka hawaa ka, mujhe chhoo ke guzraa
Koi manzar mehka, zaraa noor saa chhalka
Kisi boond ka teeka, maathe par bikhraa
Mujhe aisa lagaa jaise, kuchh tumne kahaa
Tum shaguftaa shaam ho yaa, nargisi koi mehar
Adaa ye dil tak utar gai, tum jo aaye to
The world of sounds surrounds me
In the whirlpool of roaring waves
The external noises clash
With the internal sound of silence
by Prashant Shrivastava
Waqt ye aajkal
jaise hai ek gazal
jo fizaaoN mein hai
hai mehak ajnabi
par wo hai dilnashieN
jo hawaaoN mein hai