Sochkar to bahut kuchh aata hu mai

by Prashant Shrivastava
Sochkar to bahut kuchh aata hu mai
dekhkar tumko par bhool jaata hu mai

Mai gazal gungunaooN yaa sher koi kahooN
kehte hai naam tera hi sunaata hu mai

Meri sab shaayari, ek hi rang hai
har tasavvur mein tujhko hi paata hooN mai

Tu sazaa de mujhe yaa ke inaam de
ab to har cheez tujhse hi paata hu mai

jaanta bhi hooN mai, aur hoon anjaan bhi
LaakhoN mein jo tujhe hi dekh paata hu main

Leave a Comment