Do chamakte hue gauhar jaise Wo nigaaheiN noor-e-mehar jaise Jo inki rehguzar mein aate hai Wo manzar naye ho jaate hai Aur jo diwaane bach jaate hai Wo aashiq diljale ho jaate hai Kahin mehar kahin qehar jaise Wo aankhein toofaan ki lehar jaise Wo nigaaheiN noor-e-mehar jaise Aye kaash ke hum bhi shaayar hote Armaan-e-musafir bhi zaahir hote Ek wafaa nibhaa lete chashm-e-noor se Fir bhale jahaan mein hum qaafir hote Kabhi pur-asar, kabhi sifar jaise Wo aankhein zindagi ki nazar jaise