Dil halke se jo…
Kuchh waqt ye thhehraa thhehra hai
Kuchh chaand bhi sanjeeda hai
Kaun aaya hai dil ki raahoN mein
dil halke se jo dhadkaa hai
Prashant Shrivastava
Kuchh waqt ye thhehraa thhehra hai
Kuchh chaand bhi sanjeeda hai
Kaun aaya hai dil ki raahoN mein
dil halke se jo dhadkaa hai
Prashant Shrivastava
Ek aisa ghar chaahiye mujhko, jiski fazaa mastana ho
ek kone mein gazal ki mehfil, ek kone mein maikhaana ho
Pankaj Udhas and Zafar Gorakhpuri
tum ye kaise juda ho gaye
har taraf har jagah ho gaye
Na Jee Bhar Ke Dekha Na Kuch Baat Ki,
Badi Aarzoo Thi Mulakat Ki,
ye baarishein, ye aarzu, ye bekhudi ka aalam
Hai ishq ke aasaar yahaan, hai jo ye mausam
Prashant
Chaand ka noor liye, shab ye shayarana hai
Hum hai aur yahaan, ek hasien fasaana hai
aarzu ki shamaa jalaati hai par jalti nahi
yeh sau suraakh ki chaadar hai, jo silti nahi
Written by Prashant Shrivastava
Compiled by Shipra Shrivastava
aankhon se aankhon mein milne ka, mazaa hi kuchh aur hai
Armaano saa dil mein palne ka, mazaa hi kuchh aur hai
Hai kuchh nayaa ye fasaana nahi
Mai kuchh nayaa hu diwana nahi
Prashant Shrivastava
editor.shayarana@gmail.com
aankhon ka likhaa aankhoN ne padhhaa
fir chupke se dil toot gayaa
Prashant Shrivastava
editor.shayarana@gmail.com