by Prashant V Shrivastava
Khushboo ke tere mausam
aankhoN mein bhar gaye
Tapti fizaaoN ko bhi
bheega sa kar gaye
Tere rang rang chhalke
aankhon se halke halke
hum paa gaye hai sukooN
hijraaN mein jalte jalte
Meri nazar se too, aisa judaa hai ke
Mere, saare manzar, tujhse hi ho gaye
Tujhse shuru hui, dil ki ye aarzoo
ab khwaab saare leke, hum tujhmein kho gaye
Jaane hai raaste kya, kaisi hai rehguzar
Hum jaante hai itna, bas too hai humsafar
Tere rang rang chhalke
aankhon se halke halke
hum paa gaye hai sukooN
hijraaN mein jalte jalte
Sunte hai ishq ka, anjaam hai buraa
Par hum karein kya dil jo, suntaa nahi hai
mumkin hai jaan bhi, ho jaayegi fanaa
Par raah doosri dil, chuntaa nahi hai
Hum rakh chuke hai ye sar, tere hi dar pe
Kar de kalam too chaahe, rakh haath sar par
Tere rang rang chhalke
aankhon se halke halke
hum paa gaye hai sukooN
hijraaN mein jalte jalte
Original track
[youtube https://www.youtube.com/watch?v=H3ZPitzD8pg]
This is one of most realistic poetries I have ever read. Great Prahant!