baat bas yun hai ki rehta baarahaa bezaar hoon

yeh nahiiN rasm-e-jahaaN meiN har tarah bekaar hooN
baat bas yuN hai ki rehta baarahaa bezaar hooN

gham bayaaN karke chale to sun liye kuchh kehkahe
aajkal apne ghamoN ka aap hi ghamkhwaar hooN

mujhko karna tha agar badnaam to kehte mujhe
apni badnaami ka khud sabse bada auzaar hooN

fikr-e-duniya mujh pe to tum rok paaoge nahiiN
par kaho ki sang-e-duniya ka bhi kya haqdaar hooN

haath phailaane pade mujhko kafan ke vaaste
jaaN gayi jab muddaey par ke bahaut khuddaar hooN

girne waalee hai laboN par aakhiri baadaa ki booNd
bas abhi is paar hooN lo ab chalaa us paar hooN

thaa junooN jiska na paaya jo na chaahaa mil gayaa
dab gayee awaaz hooN jo chal gayaa vyapaar hoon

bak diya ghar kucchh junooN meiN maaf kar de sochkar
chaah meiN muztar teree gham meiN tere beemaar hooN

hooN bahaut asaan khone mein sabhi ne kho diya
soch lo par dhooNdh jaane meiN bahaut dushvaar hooN

jab talak sohbat hai khwab-e-husn-o-khaalee jaam ki
nainaayat hi ho “zarraa” par nahiiN nachaar hooN

composed by “zarraa”

Leave a Comment