by Prashant Shrivastava
Daudte bhaagte, haathoN mein liye, Ye khwaaboN ki zindagi
Maange jo qaraar, paaye intzaar, ye khwaaboN ki zindagi
HasaratoN ke kitne sheeshe
Roz laayeiN, roz toote
Gum se ilteja, karte rahe sadaa
ek din to ye soz chhoote
sheeshe hai hasien par
chubh jaate hai aksar
aur karaah ke reh jaati hai
ye khwaaboN ki zindagi
dosti fir kar li humne
apne dard se apne ghum se
isi khushi mein, chhalak pade hai
chand aansoo chhal ke chham se
dard dil mein sukooN se hai
aarzoo bhi sukoon se hai
ab bas khwaaboN mein aati hai
ye khwaaboN ki zindagi