Aayee bahar aayee, khushboo khumaar layee
KhushiyoN ka hai ye mausam, parivaar ko badhayee.
YeH surmai rangoN ki kavita hai ab banayee
Soorajmukhi khila hai, rangeeN sham aayee.
Barsaat bhini bhini, us par ghani ghatayein
Shabnam ki oOs jaise, man ko bHigone aayee.
CHancHal si ek Titli, cHoomeiN suman suman ko
Sharmaake aaj kaliyaN, jane kyoN khilkhilayee.
BHanwre ki gunGunaHat, koyal ki kook pyari
InSe cHura ke sarGam, ye dHun madhur banayee.
Kismat raqueeb Devi, cHalta na Zor pHir bhee
MaNThan kiya jo man ka, Anubhuti Ek payee.
By Devi Nangrani
visit Devi at www.charagedil.wordpress.com