Shaam-e-Sitambar

Shaam-e-Sitambar by Prashant V Shrivastava
Shaam-e-Sitambar by Prashant V Shrivastava

Shaam-e-Sitambar si raushan jo ho tum

Kyon khushnuma ye samaa ho na jaaye

 

BaaloN ki baareek kirnoN mein

Chehra chhupe aur chamke kabhi

Nasheele labo pe tarannum sa hai

Nayaa geet khushboo sa mehke kabhi

Kisi shaayari ka badan jo ho tum

Kyon kuchh deewana samaa ho na jaaye

 

SaansoN ki layy pe thirakti hai jo

LaboN se wo chingaariyaaN udti hai

Inhein chhoo ke shabnam sharara hui

Inhi se to betaabiyaaN khulti hai

Paani mein bhigi agan jo ho tum

Kyon ashiqana samaa ho na jaaye

 

Jis rang mein dhhal si jaati ho tum

Usi rang mein fir ubharti bhi ho

Madhosh jalwe tumhaare to hai

Sharmaa ke dil mein utarti bhi ho

Dehkati si resham kiran jo ho tum

Kyon soofiyaana samaa ho na jaaye

 

Tere sang guzarte ye lamhaat saare

Meri zindagi ka sabab  ban rahe hai

Tuhein chhoo ke mere khayaalat saare

Meri shaayari ke haraf ban rahe hai

Meri Aarzoo ki kalam jo ho tum

Kyo shayarana samaa ho na jaaye

Image Courtesy Shipra Shrivastava

by: Prashant V Shrivastava