by RJ Ritu Roy
Khud ko jo jana toe khud se hi khafa ho gaye
Aarzoo-e-wafa karte karte hum bewafaa ho gaye
Tamanah ki lau nahi hei jisne dil ko sulgaya
Bas naseebon ke armaan the hum judaa ho gaye
Safeena-e-mohabbat rahe ek umer talak hum bhi
Guzre iss kehr se ki dard-e-la-dawaa ho gaye
[safeena:slave, dard-e-la-dawaa:immortal pain]
Khuda ke har ghar par matha tekne wale sakhs
Aaj mausamo ki tarah badle toe nakhuda ho gaye
[nakhuda: khuda ko na maan-ne wala]
Ujre huve chaman se guzarne wale dil-e-muztar
Kaise barbad tabahiyon se tum ba-wafaa ho gaye
[dil-e-muztar:anxious heart]
(Copyright Reserved – Written On 3rd March 2014
Har Fard Yahan Pr Taajir Hai,
Har Waqt Tijarat Hoti Hai,
Tum Aap Hi Apne Daam Kaho,
Chupke Nhi …. Sarr-e-Aam Kaho,
Kya Lo Gey Apni Yaari Ka?
Kya Lo Gey tum Dil Daari Ka?
Gham_khwar Bano Gey Kitne Mein?
Tum Pyar Karo Gey Kitne Mein?
Sab Jazbe Mere Naam Karo?
Hm Naam tm apna Daam kaho,
Par daam chukaane ki Khatir,
Hm apna daftar kholein To,
Hm apni jaib ta_tolein To,
Bs pyar mille ga thora Sa,
Izhaar mille ga thora Sa,
ye sikke yahan kab chalte Hein,
Kya udhaar mille ga thora Sa?
Yeh duniya Be-Aitbaari Ki,
Yeh arz hey har Beyopari Ki,
Chal chor tamanna Jazbon ki,
Hum khaali hath he aaye they,
Chal khaali hath he Chalte Hein.
That’s a nice poetry.