dil ke aaine mein koi tasveer nikharne lagi hai
to raushni si poore dil mein bikharne lagi hai
wo paree jo khwaabon mein kahin rehti hai
usse milne ki ab aas bandh rahee hai
yeh mera nayaa khwaab hai yaa khushi ka aagaaz hai
rukte chalte jo yeh hawaa keh rahee hai
kuchh to hai jo meri saansein mehakne lagee hain
to raushni si poore dil mein bikharne lagi hai
apne andaaz mein maine ek nayaapan sa paaya hai
in sab baaton ka aakhir kya sabab hai
main wo nahi jo kal talak tha
is badlaav ka aakhir kya matlab hai
ek muskuraahat si hothon se chhalakne lagi hai
to raushni si poore dil mein bikharne lagi hai