Khaamoshi se baatein karna
choo loon mai to, aankhein bujhana
aise kisi vasl ka khwaab hai
Mehfil ki halchal, mein posheedaa
Ho ek tanhaai ka jazeera
aise kisi vasl ka khwaab hai
Resham ki saari, lehraati zulfeiN
Kaise apne kadam rok lein
Kyon naa saason mein ghulte chalein
palkein uttha ke, nazareiN milaao
hothon ki harkat, se gul khialaao
aise kisi vasl ka khwaab hai
uljhan mein man hai, dhadkaa sa tan hai
jaane kahaan se koi dekh le
jaane nazar teri kaise chhuye
Dekho thodi, doori rakhna
dhadkan ki sargam, aankhon se sunna
aise kisi vasl ka khwaab hai
Female para
Male para
Common para
Image courtesy RJ Ritu Roy.