Pic courtesy RJ Ritu Roy
Do chamakte hue gauhar jaise
Wo nigaaheiN noor-e-mehar jaise
Jo inki rehguzar mein aate hai
Wo manzar naye ho jaate hai
Aur jo diwaane bach jaate hai
Wo aashiq diljale ho jaate hai
Kahin mehar kahin qehar jaise
Wo aankhein toofaan ki lehar jaise
Aye kaash ke hum bhi shaayar hote
Armaan-e-musafir bhi zaahir hote
Ek wafaa nibhaa lete chashm-e-noor se
Fir bhale jahaan mein hum qaafir hote
Kabhi pur-asar, kabhi sifar jaise
Wo aankhein zindagi ki nazar jaise