Meri Aarzoo ka rang liye
Mere sab mausam sang liye
Ek mukhtsar saa ranj liye
Maine sunaa hai aaj aayii thi baarisheiN
Mai baadaloN ko dekhta to hu magar khaamoshi se
Lekin wo sab sun leta hai meri dhadkan ki sargoshi se
Mai khud se yahi farmaata hu
Mai raaz hu khud ko chhupaata hu
Par dil ke maraasim hai jo aankhoN se
Meri aankhoN mein laut aayii meri hi baarisheiN
Aankhein bhar aati hai lekin jaane kyu chhalakne paati nahi
ChingaariyoN mein rang bharti hai lekin hawaa sulgati nahi
yaa to ye sholoN ke rangeen saaye haiN
yaa fir ye sehra se lauti hawaayein haiN
Jaane do guzri baatein, aayi hai baarisheiN
Mai apne chashm-e-nam se use dekhta hi reh gaya
Wo meri besabab si hairat ko sochta hi reh gayaa
Waqt bhi pareshaanN-O-PashemaaN hua is tarhaa
Khud to ruka hi, hamein bhi rokta hi reh gayaa
How can you think so much on things that never happen! A poet is indeed either a harbinger of God or a person with special powers. Kudos Prashant Shrivastava