Ek aisa ghar…

[ad code=2 align=center]

Ek aisa ghar chaahiye mujhko, jiski fazaa mastana ho
ek kone mein gazal ki mehfil, ek kone mein maikhaana ho
Aisa ghar jiske darwaaze, band na ho, insaano par
Shekh-o-brahmin, rind-o-sharaabi, sabka aana jaana ho
Ek takhti angoor ke paani se, likh kar dar par rakh do
is ghar mein wo aaye jisko, subhaa talak na jana ho
Jo maikhaar yahaan aataa hai, apna mehmaaN hota hai
wo baazaar mein, jaa ke pee le, jisko daam chukaana ho
Pyaase hain hothoN se kehna, kitnma hai aasaan ‘Zafar’
Mushkil is dam aati hai jab, aankhoN se samjhana ho
Written by Zafar Gorakhpuri
Sung by Pankaj Udhas
Written by Zafar Gorakhpuri</br>
Sung by Pankaj Udhas

Leave a Comment