AankhoN mein chaand liye

Prashant V Shrivastava
Prashant V Shrivastava

AankhoN mein chaand liye
Jab dekhaa tumne mujhe
Mai youn munavvar ho gaya
Jaise kabhi tanhaa na thaa

Mere andaaz se milti
julti aankhoN ki maalik ho
Ye aankhein hai sher koi
Aur tum maanind-e-ghaalib ho
Ek sheir mukammal ho gaya
Jaisa kabhi likhaa na tha

Do aankhein do chaand hai
Aur tum khud ho ek kehkshaaN
Kabhi dekhti ho tum jahaan
Kabhi tum khud ho poori duniya
Ek raushni ka guldasta
jaise kabhi khilta na tha