Ek shaam, ek khwaab, aur thodi se fursat

Ek shaam ek khwaab, aur thodi si fursat - Prashant V Shrivastava (Musafir)
Ek shaam ek khwaab, aur thodi si fursat – Prashant V Shrivastava (Musafir)

Ek shaam, ek khwaab, aur thodi se fursat
Aa jana kabhi – dono -, baithhenge der tak

Koi bahaana karke, tum zulfeiN khol dena
Tumse meri or chale, ye hawaa se bol dena
Siharan si mere kaanon pe fir hogi der tak
Aa jana kabhi – dono -, baithhenge der tak

Badi lambi saari baatein, kehni hai hasrat se
Tum bas jawaab dena, palkoN ki harqat se
Bas aankhoN pe rakhene, hum nazareiN der tak
Aa jana kabhi – dono -, baithhenge der tak

1 thought on “Ek shaam, ek khwaab, aur thodi se fursat”

Leave a Comment