Waqt-e-Qayamat

Maana qayamat par tera aana mukarrar hai
Magar  ye zindagi bhi to Qayamat tak hi hai


Wo sitam dhha ke mujhe, naatvaan samajhta hai
Uski ye khushfehmi, meri sharaafat tak hi hai


Wo jo dil ke badle jism khareed leta hai
Afsos uski soch tijaarat tak hi hai


Too barbaad karde, magar mitaa nahi sakta

Meri hayaat khudaa ki inaayat tak hi hai

Leave a Comment