Ab jo tanhaa se hum hain

Prashant V Shrivastava
Prashant V Shrivastava

Ab jo tanhaa se hum hain

Har taraf se sitam haiN

Zindagi kya nibhaayeiN

Himmatein bhi to kam hai

 

Ab koi din kahin se, ummeed nahi laata

Ab koi khwaab saaya, bhi to nahi dikhaata

Ab khtm ho chale hai, yaadoN ke saare moti

Ab bharam zindagi ka, kyu nahi toot jaata

RoyeiN magar nahiN chhalkein

Aankhon ko yeh qasam hai

Zindagi kya nibhaayeiN

Himmatein bhi to kam hai

 

Raahein udaas hai to, kaise kadam uthhaayeiN

Tanhaa si rehguzar se, kya suneiN kya sunaayeiN

Hai sang ki bani hui, boondeiN jo gir rahi hai

Aur kaanch ke hai sapne, ab kis tarhaa bachaayeiN

Ghaayal hai dhadkanein aur

Har saans ek zakham hai

Zindagi kya nibhaayeiN

Himmatein bhi to kam hai

JMD

Musafir

7/19/15

1:10 AM

 

 

Jmd