Kitne Zamane Guzar Gaye..

RJ Ritu Roy
RJ Ritu Roy

Kitne zamane guzar gaye hei issi intezaar mein
Judaa hai heer se ranjhaa ajab ikhtiyaar mein

(ikhtiyaar: choice / option / control)

Phulon ke dard kaanton ki chubhan ban kar bikhre
Ashqon ki nadiyaan beh rahi hei aaj diyaar mein

(diyaar: country / region)

Naam mohabbat ka badnaam ho chala hei iss kadr
Charche aate hei gunahon ki tarah akhbaar mein

Seene se behta khoon bhi paani sa lag raha hei
Khun ke sirf ashq beh rahe hei abh iztiraar mein

(iztirar: helplessness / agitation)

Hum jante hei humare dard ki koi dawa na milegi
Phir bhi haath uthe hei E Khuda tere aitbaar mein

Auqaat ki har had ko paar kar isbaat de jayenge
Dekhte hei dum kitna hei nafraton ki talwaar mein

(isbaat: proof)

Duniya dekh le humari hadd-e-ulfat aaj ek baar
Jiyenge aur marenge bhi hum aap ke khumaar mein

(khumaar: intoxication )

Charche honge zikr hoga mohabbat ki baatein hogi
Humari wafaon ke dard zinda rahenge shumaar mein

(shumaar: account / counting)

Written By Ritu Roy
(Copyright Reserved)

2 thoughts on “Kitne Zamane Guzar Gaye..”

  1. Pingback: Ada Wafa
  2. Pingback: Priyanka Shah

Leave a Comment