husn ke jahaan mein inqlaab ki tarhaa

by Prashant V Shrivastava

 

RJ Ritu Roy
RJ Ritu Roy

SardiyoN ke taaza khile gulaab ki tarhaa
Shokh hayaa mein range aaftaab ki tarhaa
Aye naazneeN tum rang-o-boo ki fizaa ho
husn ke jahaan mein inqlaab ki tarhaa

Mai halke nashe mein rehta hu, tumhaare deedaar ke baad
Tumhaari zulfoN mein uljha hu, tumhaare rukhsaar ke paas
Tumein dekhta hu,moorat-e-aabaad ki tarhaa
Tumhein padhtaa hu, apni hi kitab ki tarhaa
Aye naazneeN tum rang-o-boo ki fizaa ho
husn ke jahaan mein inqlaab ki tarhaa

Mujhe zamaane se sarokaar nahi, meri duniya tum tak hai
Meri ummeedeiN jawaan ho gai, in laboN ki ek harqat se
tuumhein chaahta hu, dard ke insaaf ki tarhaa
Tuhaari rooh mein bastaa hu, apne jazbaat ki tarhaa
Aye naazneeN tum rang-o-boo ki fizaa ho
husn ke jahaan mein inqlaab ki tarhaa

image courtesy: RJ Ritu Roy

13 thoughts on “husn ke jahaan mein inqlaab ki tarhaa”

  1. Pingback: Ada Wafa
  2. Pingback: Nivi
  3. Pingback: Preeto

Leave a Comment