Shehad ke rang waali aankheiN

 

Shehad ke rang waali aankheiN by Prashant Shrivastava
Shehad ke rang waali aankheiN by Prashant Shrivastava

 

 

SholoN ki tarhaa jo chaahein wo sulgaa deiN
Wo shehad ke rang waali namkeeN aankheiN

Ek muddat lagti hai, humko to bujhaane mein
use pal b nahi lagta sholay sulgaane mein
Aji door se hi achchhi hai wo rangeeN aankein
Wo shehad ke rang waali namkeeN aankheiN

Palkon ke chilman se jab mujhse milti hain
Seene ke chaman mein jaise chingaariyaaN khilti haiN
Jazbaat ke angaaron ki jaise zameen aankhein
Wo shehad ke rang waali namkeeN aankheiN

Mai usko jo dekhooN to, palat ke dekhti haiN
Mai jo na dekhoon to fir wo hairat se dehti hai
Rehti haiN nigaahe-e-baaN, uski muneem aankheiN
Wo shehad ke rang waali namkeeN aankheiN

 

Image courtesy of [Marcus] / FreeDigitalPhotos.net

3 thoughts on “Shehad ke rang waali aankheiN”

  1. Pingback: Fareeda

Leave a Comment