jab tak hai zindagi, jab tak hai jaan

Prashant Shrivastava
jab tak hai zindagi, jab tak hai jaan by Prashant Shrivastava

Meri aankhon ke khwaaboN mein, tera intzaar hoga
Jab tak khuli hai aankhein mera dil nisaar hogaa
Mujhe hai khabar ke tujh par, koi asar na hoga
Jaane ke baad mere, tujhe aitbaar hogaa
Yahi silsilaa rahega, ab apne darmayaan
jab tak hai zindagi, jab tak hai jaan

Waqt ek khaamosh aandhi hai, to sab mit jaayega
Koi hairat nahi hogi, jo too bhool jaayega
Wo hasaratein jo na jee sakien, wo wahin rahengi
Khushq aankhon ki bhi tabiyat hari rahegi
Yaadon se uljhe hue, bhulaayenge teri daastaan
jab tak hai zindagi, jab tak hai jaan

Ye bhi zaroor hoga, ke tumse deed hogi
Pehchaan ke b anjaane bane rehne ki reet hogi
Fir yaadoN ke jhaunke honge, kuchh hasien dkhoke honge
Aankhon ke saahiloN tak aaye, ashq humne roke honge
hum nibhaate rahenge, ishq ke qaayde, har ghadi har lamhaa
jab tak hai zindagi, jab tak hai jaan

7 thoughts on “jab tak hai zindagi, jab tak hai jaan”

  1. Pingback: shayarana
  2. Pingback: Monalisa Benerjee

Comments are closed.