jab wo khwaab hua karta tha

Prashant Shrivastava
Prashant Shrivastava

 

Aaj usi shakhs ki yaadein hai aur andheraa hai
Wo kabhi mere liye chaand hua karta tha

Uski sachchaai dekhkar mai to bas hairaN hu
Wo bhalaa tha jab wo khwaab hua karta tha

Aaj akhbaaroN ki surkhiyoN sa sab aankhon mein hai
Wo afsana jo hamaara raaz hua karta tha

Jazbaat mein bheega sa, baaton mein resham saa
Un aankhon ka aisa kabhi andaaz hua karta tha

Mehv-e-muhabbat hum bhi musafir, aise kabhi the
Har ghadi deed ko dil yeh, betaab hua karta tha

Leave a Comment