HaiN gazal aankhein tumhaari

HaiN gazal aankhein tumhaari
shaayari si kar rahi hai
Shayarana har wo sheh hai
jo bhi inse guzar rahi hai

Tumhaare khwaab dekhe the
aankhein ab tak raushan hai
Thi khwaabeeda rangat aisi
Ke ab tak taaze mausam hai
har ek nazar ke jhaunke se
nazaaroN ki rangat nikhar rahi hai
Shayarana har wo sheh hai
jo bhi inse guzar rahi hai

PalkoN ke bujhne jalne main
saare mausam milte hai
Nazarein jahaan mil jaati hai
shaakhoN pe gul khilte hai
Mehki hui noor ki chaadar
har soon bikhar rahi hai
Shayarana har wo sheh hai
jo bhi inse guzar rahi hai

2 thoughts on “HaiN gazal aankhein tumhaari”

  1. Kis saadgi se aapne itna khoobsurat ehsaas piro diyaa hai. Aaj mai is site par pehli baar aayi hu aur saari poetries padh kar hi jaaungi.

    Awesome reall!

    Reply

Leave a Comment