Hum kaise tanhaa reh gaye

Rahein thi saamne
Manzil thi aankhoN mein
Hum raaahi bhi koi to tha
KhushiyaaN bhi thi haathoN mein

Fir kaise kab kya ho gaya
Saara hi manzar kho gayaa
Hum to bas hairaaN reh gaye
Hum kaise tanhaa reh gaye

Hamein ishq ki dushwaariyoN ka aise to ilm tha
Par jo hum pe guzraa hai wo bewajaha ka zulm tha
Itna bhi na tha waqt ke kuchh soch paate hum
Bas palkein khuli aur sab mausam beh gaye

Ab kahin kuchh bhi nahi, is faani jahaan meiN
Koi nishaaN nahi, na zamien na aasmaaN meiN
Mudke dekhta hoon to meeloN tak tanhaa mere nishaan
aye dil hum kaise itna safar tanhaa seh gaye

Image: http://www.dreamstime.com/stock-images-the-girl-in-park-rimagefree2596596-resi3378709

Hum Tanhaa Reh Gaye
Hum Tanhaa Reh Gaye

Leave a Comment