Waqt ye aajkal

by Prashant Shrivastava
Waqt ye aajkal
jaise hai ek gazal
jo fizaaoN mein hai

hai mehak ajnabi
par wo hai dilnashieN
jo hawaaoN mein hai

baarishon ka hai jaise ke aanchal koi
aasmaaN se jo baandha hawaa ne
Goonja fir koi meethaa saa nagmaa yahaan
khola zulfoN ko jaise ghataa ne

ishq hai har kahin
zindagi khushiyon ki
ab panaahoN mein hai

hai mehak ajnabi
par wo hai dilnashieN
jo hawaaoN mein hai

sabz hai ped aur bheegi si hai zamien
aur chalein hum khule paanv se
Hai shehar mein hi jaane kyon aisa sukooN
jaise ho ye judaa gaanv se

Rang hai sab naye
chhalke hai sur naye
hum hawaaoN mein hai

hai mehak ajnabi
par wo hai dilnashieN
jo hawaaoN mein hai

1 thought on “Waqt ye aajkal”

  1. I love each of the words you have written here Prashant! simple words and deep feeling wrapped in satin, it makes me fall in love with your poetry. Awesome work Sir!

    Reply

Leave a Comment