palkein kholo ke subahaa ho jaaye

by Prashant Shrivastava

Thak gai chandni, to so jaaye
palkein kholo ke subahaa ho jaaye

Sar chhupaaye hai, aaftaab kahin
soye hai ab tak tarannum-o-raag kahin
Dhhondhti hai hawa khoye hai, alfaaz kahiN
Kahin bahaar ko koi na gumaaN ho jaaye
palkein kholo ke subahaa ho jaaye

Khwaab ke saare parindoN ko parwaa mile
tum jo lab kholo to duniyaa ko aawaaz mile
Jaag jaao ke zindagi ko jeene ka andaaz mile
Maheen hai ye lamhein ye na kho jaayeiN
palkein kholo ke subahaa ho jaaye

Image Credit : http://www.dreamstime.com/free-stock-photo-girl-rimagefree1321045-resi3378709

1 thought on “palkein kholo ke subahaa ho jaaye”

  1. Pingback: Nina

Leave a Comment