Tumne dua ki hogi

by Prashant Shrivastava

aajkal khushiyon ka mujhse ek rishta hota hai
har mausam jaise meri hi aarzoo ka hota hai
Tezi se guzarte lamhon mein bhi ek sukoon hota hai
tumne dua ki hogi varna, aisa bhi kahin hota hai

ghar lautoon to saari fizaayeiN khaatirdaari karti hai
Tanhaa hu to saari hawaayein baatein tumhari karti hai
patthar pe ho likhi ibaarat, aisi khushiyaan hoti hai
jaise hawaa pe kuchh ho likha, aisa har ghum hota hai

tumne dua ki hogi varna, aisa bhi kahin hota hai
KhwaaboN mein rang bharne jaise, har shab chandni aati hai
Kalam ko chhoo loo to pal bhar mein shaayari ban jaati hai
Tere baare mein jo sochooN, zindagi khil jaati hai
zindagi mein zindagi ka ab jo aalam hota hai
tumne dua ki hogi varna, aisa bhi kahin hota hai

1 thought on “Tumne dua ki hogi”

Leave a Comment