Keh do na yeh kya hai ??

by Shiela Kher
Tum se milna, milkar chalnaa
chalte chalte baatein karna
Un baaton par mera hansnaa
Thoda sa tera sharmaanaa
Thoda sa mera ghabrana
nazarein milana, nazarein churana
yeh kaisa ehsaas hai
Kuchh samajh na aaye
kaise yeh jazbaat hai
Keh do na yeh kya hai ??
Dil yeh keh rahaa hai mujhe tumse
pyaar hai !!
Kyon chhoti lagne lagi hai lambi raahein
jisse hokar tere sang
hum aayein jaayein
Abhi abhi to sooraj niklaa tha
yeh din kaise dhhal gayaa
abhi abhi to tumse milee hoon
abhi abhi mujhe kya ho gayaa hai
kaise yeh haalat hai
kaise yeh jazbaat hai
Keh do naa…

Leave a Comment