jab aapka deedaar kiyaa

Prashant Shrivastava
Tehzeeb-o-adab ko jaise, har tarhaa dar-kinaar kiyaa
Bekhwaab meri in aankhon ne jab aapka deedaar kiyaa
Thaa kusoor wo nazaron ka, yaa manzar hi laajawab tha
Bekhwaab meri in aankhon ne jab aapka deedaar kiyaa
kyaa kahein ke sehraa hai ye dil
katra katra bhi hai mushkil
aise mein jo koi abra mile
to kyon na dil ke phool khilein
ek pal jo paaya tha. uska tha, sadiyoN intzaar kiyaa
Bekhwaab meri in aankhon ne jab aapka deedaar kiyaa
jo pal bhar ka yeh rishtaa hai
ye sadiyon se bhi lambaa hai
Ek jist paayi hai humne
ek pal ke hasien is mausam mein
Kya hua jo nazaron ne aise mein hatne se inkaar kiyaa
Bekhwaab meri in aankhon ne jo aapka deedaar kiyaa

Leave a Comment