Wo ladki khwaab jaisi

Kohre ki dhundh mein lipti, subahaa ke chaand jaisi
Wo ladki sach hai shaayad, ya hai wo khwaab jaisi
duniya mein sabse hasien jo sheh ho us se ye keh do
Wo ladki is duniyaa mein, us sheh ke jawaab jaisi
Wo ladki pardaa nashien hai, wo duniya se darti hai
usko jo dekhe khudaai, jhuk kar sajdaa karti hai
wo koi khudaa nahi hai, par khudaa ke raaz jaisi
Wo chand pe kuchh likhti hai, wo hawa pe dhun rakhti hai
Dil se dil ki ho baaeiN, wo sab kuchh sun sakti hai
wo khaamoshi ki zubaaN hai, dil ki aawaaz jaisi
alfaaz use chhoo lein to, geeton mein dhhal jaate haiN
Uski khushboo se kaante, phooloN mein badal jaate haiN
Jo dil nahi keh paata, wo us fariyaad jaisi
wo jahaan mein na mumkin hai, use khayaal hi rehne do
dhadkan mein goonjne do, aur shaayari mein behne do
wo mere tasavvur mein hai, wo mere khwaab jaisi

Leave a Comment