main bharat ki sarkaar huin

sarhad ki choti se leker sagar ki god tak
bhikara hun jarra jarra
main har kahin

kahin khushboo main hun sawan ki
kahin basant ki mahkaar huin

kahin holi ke rango main dooba
kahin id ka tyohaar huin

kahin table ki taal ki masti
kahin payal ki jhankaar huin

kahin gaonon mein khet jottha
kahin shaharo ki bharmaar huin

sab dharmaon ki mujhme jhalki
har majhab ka main pyaar huin

main bharat ka ek bashinda
main bharat ki sarkaar huin

by Sajeev Sarathie

Leave a Comment