chal dhhoop ko bhigo dein

aaja jeene ko zindagi se behtar banaa dein
jo socha na ho kisi ne wo bas kar ke dikhaa dein

chal dhhoop ko bhigo dein
chal chhanv ko sukhaa dein
kahin chand soyaa hogaa
chal usko hum jagaa dein

yeh aasmaa patang hai
chal iski dor dhhoondhein
kiske hai sab sitaare
chal raat se ye poochhein

ye bahaarein laut na paayein
ise hawaa se hum uljhaa dein
jo badle to poochhe humse
chal mausam ko ye samjhaa dein

aaja jeene ko zindagi se behtar banaa dein
jo socha na ho kisi ne wo bas kar ke dikhaa dein
Too saath ho to yeh sab mumkin hai
Too saath ho to har shab bhi din hai
Tere hone ka hi asar hai, aye humsafar mere
Khuli nigaahoN ke sapne, rehte hain mujhe ghere

Written by – Prashant Shrivastava

editor.shayarana@gmail.com



Categories: Love Shayeri

1 reply

  1. Poetry at its best! Gulzar in making.

    Like

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

%d bloggers like this: