Aankh ko jaam samajh baithha tha…

Aankh ko jaam samajh baitha thaa, anjaane mein
Saqiyaa hosh kahaan thaa, tere deewane mein
jaane kiss baat ki, unko hai, shiqayat mujhse
naam taq jinnka nahi hai, mere afsaane mein
dil ke tuqdon se teri yaad ki, khushboo na gayi
khu-e-may baaqi hai, toote hue, paimane mein
dil-e-barbaad me, ummeed ka, aalam kya hai
timtimaati hui, ik shamma hai, veeraane mein

Written by – Unknown

Please help us finding the name of the poet.

mail at editor.shayarana@gmail.com

Compiled by Prashant Shrivastava

3 thoughts on “Aankh ko jaam samajh baithha tha…”

  1. Pingback: Nivi
  2. Pingback: Waabasta
  3. Pingback: Ittefaaq

Leave a Comment