Raat ki hatheli par…

Raat ki hatheli par, chaand jagmagaata hai
Uski naram kirnon mein, tumko dekhta hoon to, dil dhadak sa jaata hai
Dil dhadak sa jaata hai
Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai

Tum! kahan se aayi ho, kis nagar ko jaaogi
Tum kahan se aayi ho, kis nagar ko jaaogi
Sochta hoon mai hairaan
Chaand jaisa ye chehra
Raat jaisi ye zulfein
Hai jagayein sau armaan
Ek nasha sa aankhon mein dheere dheere chhaata hai

Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai

Meri! is tanhaai mein, mere is veerane mein
Meri is tanhaai mein, mere is veerane mein
Rang leke tum aayi
Phir bhi sochta hoon mai
Kya! yahan tum sachmuch ho
Ya ho sirf parchhaai
Khwaab jaise banta hai aur toot jaata hai

Raat ki hatheli par, chaand jagmagaata hai
Uski naram kirnon mein, tumko dekhta hoon to, dil dhadak sa jaata hai
Dil dhadak sa jaata hai
Raat ki hatheli par chaand jagmagaata hai

Written by – Javed Akhtar
Sung by – Udit Narayan
Composed by – Annu Malik
Actor on screen – Abhishek Bachchan, Kareena Kapoor

3 thoughts on “Raat ki hatheli par…”

Leave a Comment