Fir chupke se…

Prashant V Shrivastava
Prashant V Shrivastava

aankhon ka likhaa aankhoN ne padhhaa
fir chupke se dil toot gayaa
Kuchh khoya to dil royaa bhi
Daaman bheega aur chhoot gayaa

tooti tooti kuchh aahein thi
bikhri bikhri kuchh siskiyaaN
Kal tak tha fakra muhabbat pe
Ab lagta hai ki galatiyaaN
GairoN se shikaayat kya karte
Apna hi yakien hamein loot gayaa
Kuchh khoya to dil royaa bhi
Daaman bheega aur chhoot gayaa

AankhoN mein jahaan ummeedein thi
ab halki halki neendein haiN
Lekin fir khwaab mein wo na mile
isliye zara hum darte haiN
Patthar se thaa sheeshaa takryaa
Jo naazuk tha wo toot gayaa
Kuchh khoya to dil royaa bhi
Daaman bheega aur chhoot gayaa

Prashant Shrivastava

editor.shayarana@gmail.com

1 thought on “Fir chupke se…”

Leave a Comment